Sunday, 8 January 2012

Wo subah ka alamnaak savera

Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan
Jis subah ki raat guzri thi
Ashkon ki barsat may
Ashk meray aur teray
uss saahil ki rait pe
Aaj bhi sulagti hai zameen
Aaj bhi be-karaan hokar tarpti hai mouj-e-sagar
Teray hath ka lums aaj bhi zinda hai
Meri be-muraad hatheli pe jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan

Bisat-e-waqt pe tehri thi zindagi ki baazi
Na tu shikast ka khuwahan
Na mai mutamani tha ruswai ka
Phr bhi taqdeer banai tu ney hamari
Uljhi hoi muhabbt ki
Phr chahaya andehra meray ujaalon may
Tu koh gaye anjaan be-nishaan veeranon may
Mai aur meri tanhai
Ab yehi pochte hain jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise bhool paon ga jaanan
Kaise bhool paon ga jaanan

Zara Phir Sy Kehna

Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna.
Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna.
Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy.
Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna.

Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi.
Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna.

Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay.
Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna.

Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne.
Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna.

Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon.
Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna.

Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish.
Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna.

Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani.
Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna.

Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar.
Kiya tera bhi hy ye emaan zara phir se kehna.

Armaanon ki chita jalanay se kiya haasil Zaidi.
Huwa hy aub ye raaz nihaan zara phir se kehna…

IK SHAKS K KHU JANAY KA DAR KYO NAHI JATA

EK SHAKS K KHU JANAY KA DAR KYO NAHI JATA 
YEH KHUAF MERE DIL SY UTAR KYO NAHI JATA
MANZIL PAY PUHANCH KAR B USAY KHONA PARY GA
YEH TEH HAI TU PHIR SHOQE SAFAR KYO NAHI JATA

yeh khulay khulay sy gasu


Yeh Khulay Khulay say gasu.....
yeh uri uri see rangat ....
teri subeh keh rhi ha.i......
teri raat ka fasaana.......

Aao Ek Sajda Krein alam-e madhooshi main

hai dua yaad magar harfe dua yaad nahi
mery nagmat ko andaze nawa yaad nahi
mein ny palkon say dare yaar pay dastak d hai
mein wo sayal hoon jisy koi sada yaad nahi
sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kon hua kis sy khafa yaaad nahi
hum ny jin k liey rahon main bichaya tha lahoo
aj kehty hain wohi ehde wafa yaad nahi
zindigi jabare musalsal ki treh kaati hai
jany kis jurm ki pai hai saza yaad nai
aao ek sajda krein alam-e madhooshi main
kon kehta hai k sagar KHUDA YAAD NAHI


Saturday, 7 January 2012

Mujhy Tum Yaad Aaty Ho

Nigah meri tarasti hy
Mujhy tum yaad aaty ho

Muhabaat kab tarapti hy
Mujhy tum yaad aaty ho

Sama jata hy aankhon main
tery jazboon ka bhega pan

Kahen barish barasti hai
Mujhy tum yaad aaty ho

Zamany k swalon ko
main hans kr taal don laiken

Nami aankhon ki kahti hy
Mujhy tum yaad atay ho..

jab juda huye thy hum ..

Wo aam si sham thi jab juda huye thy hum ...
Na toot kar pyar kia or na ro saky hum

Tum se gila kia na zamany se kuch kaha
Barbad ho gaye bari sadgi se hum.

Dilon ko torne k liey

Dilon Ko Torne K Liye Zarorat Nhe Patharon Ki 
DOST   
Ye Dil To Bikhar Jate Hain Sirf Lafzon Ki Chot Se .... !

Heart touching poetry

merey siva sar e maqtal muqaam kis ka hai
kaho k ab lab e qatal pe naam kis ka hai

yeh takhat o taj o quba sab unhain mubarak hon
magar yeh nok e sinaaan ihtaraam kis ka hai ?

tumhari baat nahi, tum to charagar they magar
yeh jashan e fatah pass e qatal e aam kis ka hai ?

humari laash pe dhoondo na ungaliyun k nishaan
humain khabar hai azeezo ! yeh kaam kis ka hai ?

fana k haanptey jhonkey hawa se puchtey hain
jabeen e waqat pe naqah e davaam kis ka hai ?

tumhari baat to harf e galat thi, mit b gai
utar geya jo dilon mein, kalaam kis ka hai ?

voh mutmaen they boht qatal kar k Mohsin ko !
magar yeh zikar e vafa subah o shaam kis ka hai