Saturday 5 May 2012

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha ,
Wo chahta to mayra Sath Chal bhi skta tha
Wo Shakhs tuney jisay Chornye ki jaldi ki
Taray Mizaj k sanchy main dhal bhi skta tha
Wo jaldbaaz khafa ho k chaldia warna
Tnaazaat ka koi hal nikal b skta tha
ANNA ne hath uthnay nahi diye warna
Meri dua say wo pather pigal bhi skta tha
Tamam UMAR tera muntazir raha Mohsin.
yeh aor baat k wo rassta badal bhi skta tha

0 comments:

Post a Comment