Showing posts with label hear touching poetry udu. Show all posts
Showing posts with label hear touching poetry udu. Show all posts

Thursday, 17 May 2012

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,
Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.

Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Monday, 14 May 2012

tujhay naz hai tu haseen hai

tujhay naz hai tu haseen hai
tairay gulistan ko zawal kaya;

mjhay fakhar hai , main ishq hoon

jo jala na doon toh kamal kaya,

mjhay zindagi ki dua na day

mjhay zindagi ki talab ni

maire moat ko jo taal day

ic zindagi ki majal kaya

hamain manziloon ki khabar ni

humain rehguzar ki tallaash hai..

ic rehguzar pay nikal paray

toh arooj kaya aur zawal kaya

tairay piyar main shikway gilay

taire in aadayoon pay mr chalay

jo hayaat thi tujhay war di

ab sawal kaya or jawab kaya

Tuesday, 1 May 2012

Ajeeb Dhang Hain Abke Bahaar Aane Ke

Ajeeb Dhang Hain Abke Bahaar Aane Ke
Chaman Mein Chaar Soo Charche Hain Ghar Jalaane Ke

Wo Tez Aandhi Gulistaan Mein Abki Baar Chali

Ke Tinke Bhi Naa Rahe Mere Aashiyaane Ke

Tu Bawafa Bhi Raha Aur Kabhi Wafa Bhi Na Ki

Main Sadqe Jaaun Tire Is Hasin Bahaane Ke


Ilahi Khair Ke Hota Hai Husn Bhi Ruswa

Zamaane Bhar Mein Hain Charche Mire Fasaane Ke


Ye Inqilaab Ki Aahat Hai Rekhta Sahib

Waraq Palatne Hi Waale Hain Ab Fasaane Ke

Friday, 30 March 2012

Kaleja Thaam Lo Roodad E Gham Ham Ko Sunane Do …

Kaleja thaam lo roodad E gham ham ko sunaane do
Tumhein duk_kha hua dil ham dikhate hain dikhane do

Usi ke dam se thoRi raushni hai khaana E dil meiN
Bujhaate kyuN ho sham- E aarzoo ko jhilmilane do

Usi se tum kisii kii zulf ki roodaad sun lena
Udhar dekho wo deewaana chala aata hai aane do

Suna hai ishq ka me’raaj pinhaN hai shahadat me
Chhuri laao mujhe bhi apni qismat aazmaane do

Na dagh aayega apne daman E husn E tabiy’at per
Wafaa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

Zamana sabr kar leta hai ‘Ajiz’ ham bhi kar leNge
Khalish dil ki miTa lene ke do aaNsoo bahane do

Sab Qareene Usi Dildaar Ke Rakh Dete Hain

Sab qareenay, usi dildaar ke, rakh dete haiN

Hum ghazal men bhi hunar yaar ke rakh dete haiN

Shayad ajayeN kabhi chachm e khariidar men hum

Jan O dil biich mein bazaar ke rakh dete haiN

Zikr e janaN mein yeh duniya ko kahaN le aaye

Log kyuN mas’alay bekaar ke rakh dete haiN

Zindagii teri amaanat hai magar kya kijiye

Log yeh bojh bhi thak haar ke rakh dete haiN

Hum to chahat men bhi ghalib ke muqallid hain ‘Faraz’
Jis pe marte haiN use maar ke rakh dete haiN

Monday, 26 March 2012

Tera Nam Lon Ziban Se, Tere Aage Sar Jhuka Don.

Tera Nam Lon Ziban Se, Tere Aage Sar Jhuka Don.

Mera Ishq Keh Raha He Min Tujhe Khuda Bana Don.

Wednesday, 7 March 2012

Tumare Naam Hain Meri Her gahri Meri Saans

Ager Wo Jaan Jata Meri Chahat Ki Tapesh Ko

Tumare Naam Hain Meri Her gahri Meri Saans 
Main Tum Ho Meri Her Dharkan Main Ho Meri Her

Lafzo Main Tum Ho Mere Khailo Main Tum Ho Mere

Khawbo Main Tum Ho Meri Her Rango Main Tum Ho

Hum Mizaaj Uska Bare Gauhar Se Dekhte Hain

Hum Mizaaj Uska Bare Gauhar Se Dekhte Hain

Suna Hain Aaj Kal Har Log Usay Dehkte Hain

Uskay Shahr Main Kuch Din Thahar Ge Hum 

Hum Kabi Dar--O--Diwar Ghar K Dekhte Hain

Kahaani Hi Sahi Dastan-E-Mohabbat Dekhte Hain

Wednesday, 22 February 2012

Saara He Shehar Us k Janazy Mein Tha Shareek

Saara He Shehar Us k Janazy Mein Tha Shareek 
Wo Shakas Ju Tanhayioon K Khuf Sy tha Mar Gaya
alone person

Tuesday, 14 February 2012

Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne Sitvat-e-khusravi ko bech diya

sad urdu poetry
Azmat-e-zindagi ko bech diya

Ham ne apani khushi ko bech diya

  

Chashm-e-saqi ke ik ishare pe

Umr ki tishnagi ko bech diya

  

Rind jam-o-subu pe hansate hain

Shaikh ne bandagi ko bech diya

  

Rahguzaron pe lut gai radha

Sham ne bansuri ko bech diya

  

Jagamagate hain vahashaton ke dayar

Aql ne adami ko bech diya

  

Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne

Sitvat-e-khusravi ko bech diya

  

Ishq beharupiya hai ai ‘sagar’

Ap ne sadagi ko bech diya

Sunday, 12 February 2012

har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,


Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,

apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.

Saturday, 11 February 2012

Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai

Wednesday, 8 February 2012

Urdu Poetry Of Life

urdu poetry
Laai Hayaat to aaye qaza le chali chaley
Apni Khushi se na aaye na apni khushi chaley

Kam hongey is bisaat par hum aisey bad qumaar
Jo chaal hum chaley woh nihayat buri chaley

Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lagey
Par kya karein jo kaam na be dil-lagi chaley

Duniya ne kis ka raah-e-fanaa mein diya hai saath
tum bhi chaley chalo yunhi jab tak chali chaley

Jaatey Hawaa-e-shauq mein hain is chaman se Zauq
Apni balaa se Baad-e-Saba ab kabhi chaley

Wo Kehti hai Suno Jana

poetry girl

Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Monday, 6 February 2012

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar

garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar

koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar

tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar

Sunday, 29 January 2012

Loving Urdu Poetry

romantic urdu poetry

Greate Urdu Poetry

nice urdu poetry

Romantic Ghazal

urdu ghazal

Tuesday, 17 January 2012

aey rahat e jaan mujh ko rulanay k liay aa

Ab tak dil e khush fehm ko hain tujh se umidain,
ye akhri shammain bhi bhujanay k liay aa,
kusch to meray pindar e muhabbat ka bharam rakh,
tu bhi to kabhi mujh ko mananay k liay aa,
Pehlay se marasim na sahi phir bhi kabhi tow,
rasm o rah e dunia hi nibhanay k liay aa,
kis kis ko batain gy judai ka sabab ham,
tu mujh se khafa ha to zamanay k liay aa,
maana k muhabbat ka jatana ha muhabbat,
chupkay se kisi roz jatanay k liay aa,
ik umr se hun lazzat e girya se bhi mehroom,
aey rahat e jaan mujh ko rulanay k liay aa….

Tuesday, 10 January 2012

jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa

sad urdu poetry

jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa 
mere pahaluu me.n u.nhe.n laa ke biThaa denaa thaa 

kuchh to denaa thaa tere taGaaful kaa javaab 
yaa Khudaa ban ke tujhe dil se bhulaa denaa thaa 

tair-e-jaa.N ke sivaa kisako banaate qaasid 
us sitamgar ko paiGaam-e-qazaa denaa thaa 

dard mohataaj-e-davaa ho ye sitam hai yaa rab 
jab diyaa thaa to kuchh is se bhii savaa denaa thaa 

vo jo biga.De to Khafaa tum bhii hue kyo.n Hasrat 
paa-e-nakhuvat pe sar-e-shauq jhukaa denaa thaa