Showing posts with label urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts

Thursday, 17 May 2012

jana tera ab thahar gaya hai

rukne k samay guzar gaya hai
jana tera ab thahar gaya hai

rukhsat ki ghari khari hai sar par
dil koi do-nim kar gaya hai

matam ki faza hai shahar-e-dil main
mujh main koi shakhs mar gaya hai

bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khwab-e-saba bikhar gaya hai

bas ik nigah ki thi us ne
sara chehara nikhar gaya hai

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de
mere baazuu merii aaNkheN meraa chehraa laa de

aisaa dariyaa jo kisii aur samandar meN gire
is se behtar hai ke mujhko meraa sehraa laa de

nayaa mausam merii biinaa’ii ko tasliim nahiiN
merii aaNkhoN ko vohii Khvaab puraanaa laa de

kuch nahiiN chaahiye tujhse merii umr-e-ravaaN
meraa bachpan mere jugnuu merii guRiyaa laa de

kashtii-e-jaaN to bhanvar meN hai ka’ii barsoN se
ai Khudaa ab to Dubo de yaa kinaaraa laa de

Saturday, 12 May 2012

Bichhar Kay Tujh Say Yahi Khud Ko Sazaa Di Main Nay,

Bichhar Kay Tujh Say Yahi Khud Ko Sazaa Di Main Nay,
Tere Talaash Main Ek Umar Lagaa Di Main Nay.

Tujhe Jo DiL Say Nikaala To Yun Laga Jaise,
Apnay Andar Koi Deewar Giraa Di Main Nay.

Goongay-Behron Main Raha Jaise Koi Naabeena,
Zindagi Tera Binaa Aisay Bitaa Di Main Nay.

Dard-0-Ghum, Ranj-0-Musibat Ki Qabayen 0rhen,
Ghar Ki Diwaaron Ko Jaalon Ki Ridaa Di Main Nay.

Jis Ka Har Laafz Adhoora Raha Sanam Tum-Bin,
Zindagi Aesi Aik Kitaab Banaa Di Main Nay.

Apnay Andar Say Sunaa Yahan Hun Main Yahan,
Tu Kahan Hai Ki Jab Bhi Sadaa Di Main Nay.

Us-Ko Achaanak Say Jo Khoya To Yun Laga..!
Zindagi Aik Hi Lamhay Main Ganwaa Di Main Nay...!~

Wednesday, 9 May 2012

raat baaqi thi jab wo bhichra tha

urdu poetry

Tuesday, 1 May 2012

اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو

اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو
بہت سا ھم جاگتے رھے ھیں چلو ذرا سا جگائیں تم کو

تم ھی ھو جو روشنی سی بن کر ھماری آنکھوں میں آبسے ھو
جب اپنی آنکھیں ھی کہ دیا ھے تو پھربھلا کیوں رلائیں تم کو

غبار آلود راستوں میں تلاش کرکر کے تھک گئے ھیں
کہاں پہ جا کے بسے ھوئے ھو، کہاں سے ھم ڈھونڈھ لائیں تم کو

تمہیں تو سکھ آ گئے میسر، تمھیں تو ھم یاد ھی نہیں ھیں
مگر یہ بتاؤ کہ ھم جو چاھیں تو کس ترھ بھلائیں تم کو

کہو کہ جاذب یہ جھوٹ ھے نا کہ تم نے اس کو بھلا دیا ھے
انھی تلک جس کی شوخ یادیں ھر ایک لمحے ستائیں تم کو

Wednesday, 11 January 2012

ek shaks ko chaha tha sitaroon ki treh hamny

Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney

Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney

Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain

Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain

Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain

Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein

Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain

Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain

Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi

Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main

Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main

Wo shaks hamain aik din

Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta

Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha

Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai

Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.

Monday, 9 January 2012

husan waloon ko dekh kar sagar

Nash-e Gham Zaroor Rehta Hai
Meri Ankhon Mein Noor Rehta Hai
Husan Walon ko Dekh Kar SGAR
Bin Piye He Suroor Rehta Hai

Sunday, 8 January 2012

Wo subah ka alamnaak savera

Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan
Jis subah ki raat guzri thi
Ashkon ki barsat may
Ashk meray aur teray
uss saahil ki rait pe
Aaj bhi sulagti hai zameen
Aaj bhi be-karaan hokar tarpti hai mouj-e-sagar
Teray hath ka lums aaj bhi zinda hai
Meri be-muraad hatheli pe jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan

Bisat-e-waqt pe tehri thi zindagi ki baazi
Na tu shikast ka khuwahan
Na mai mutamani tha ruswai ka
Phr bhi taqdeer banai tu ney hamari
Uljhi hoi muhabbt ki
Phr chahaya andehra meray ujaalon may
Tu koh gaye anjaan be-nishaan veeranon may
Mai aur meri tanhai
Ab yehi pochte hain jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise bhool paon ga jaanan
Kaise bhool paon ga jaanan

Zara Phir Sy Kehna

Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna.
Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna.
Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy.
Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna.

Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi.
Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna.

Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay.
Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna.

Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne.
Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna.

Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon.
Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna.

Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish.
Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna.

Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani.
Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna.

Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar.
Kiya tera bhi hy ye emaan zara phir se kehna.

Armaanon ki chita jalanay se kiya haasil Zaidi.
Huwa hy aub ye raaz nihaan zara phir se kehna…

yeh khulay khulay sy gasu


Yeh Khulay Khulay say gasu.....
yeh uri uri see rangat ....
teri subeh keh rhi ha.i......
teri raat ka fasaana.......

Saturday, 7 January 2012

Heart touching poetry

merey siva sar e maqtal muqaam kis ka hai
kaho k ab lab e qatal pe naam kis ka hai

yeh takhat o taj o quba sab unhain mubarak hon
magar yeh nok e sinaaan ihtaraam kis ka hai ?

tumhari baat nahi, tum to charagar they magar
yeh jashan e fatah pass e qatal e aam kis ka hai ?

humari laash pe dhoondo na ungaliyun k nishaan
humain khabar hai azeezo ! yeh kaam kis ka hai ?

fana k haanptey jhonkey hawa se puchtey hain
jabeen e waqat pe naqah e davaam kis ka hai ?

tumhari baat to harf e galat thi, mit b gai
utar geya jo dilon mein, kalaam kis ka hai ?

voh mutmaen they boht qatal kar k Mohsin ko !
magar yeh zikar e vafa subah o shaam kis ka hai