Saturday 7 January 2012

Heart touching poetry

merey siva sar e maqtal muqaam kis ka hai
kaho k ab lab e qatal pe naam kis ka hai

yeh takhat o taj o quba sab unhain mubarak hon
magar yeh nok e sinaaan ihtaraam kis ka hai ?

tumhari baat nahi, tum to charagar they magar
yeh jashan e fatah pass e qatal e aam kis ka hai ?

humari laash pe dhoondo na ungaliyun k nishaan
humain khabar hai azeezo ! yeh kaam kis ka hai ?

fana k haanptey jhonkey hawa se puchtey hain
jabeen e waqat pe naqah e davaam kis ka hai ?

tumhari baat to harf e galat thi, mit b gai
utar geya jo dilon mein, kalaam kis ka hai ?

voh mutmaen they boht qatal kar k Mohsin ko !
magar yeh zikar e vafa subah o shaam kis ka hai

0 comments:

Post a Comment