Monday 23 January 2012

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai


bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag me.n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai

0 comments:

Post a Comment