Sunday 8 January 2012

Aao Ek Sajda Krein alam-e madhooshi main

hai dua yaad magar harfe dua yaad nahi
mery nagmat ko andaze nawa yaad nahi
mein ny palkon say dare yaar pay dastak d hai
mein wo sayal hoon jisy koi sada yaad nahi
sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kon hua kis sy khafa yaaad nahi
hum ny jin k liey rahon main bichaya tha lahoo
aj kehty hain wohi ehde wafa yaad nahi
zindigi jabare musalsal ki treh kaati hai
jany kis jurm ki pai hai saza yaad nai
aao ek sajda krein alam-e madhooshi main
kon kehta hai k sagar KHUDA YAAD NAHI


6 comments:

Unknown said...

Nice

Unknown said...

Nice

FAYYAZ said...

Zindagi ma ya ajeeb kad pai ha

Sari zindagi un ke yaad mai kat gai

Phir be na un ke sada ai ha...

Unknown said...

Aao Ek Sajda Krein alam-e madhooshi main.
"LOG"kehte hai k sagar ko KHUDA YAAD NAHI. OR

Aao Ek Sajda Krein alam-e madhooshi main

"kon" kehta hai k sagar KHUDA YAAD NAHI
WHICH ONE IS "CORRECT".??????

Unknown said...

like it

Unknown said...

I guess it's loog kehte hain sagar ko khuda yaad nahii cuz I've always heard it

Post a Comment