Sunday, 19 February 2012
Aj ki Rat
Tuesday, 14 February 2012
Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne Sitvat-e-khusravi ko bech diya
Azmat-e-zindagi ko bech diya
Ham ne apani khushi ko bech diya
Chashm-e-saqi ke ik ishare pe
Umr ki tishnagi ko bech diya
Rind jam-o-subu pe hansate hain
Shaikh ne bandagi ko bech diya
Rahguzaron pe lut gai radha
Sham ne bansuri ko bech diya
Jagamagate hain vahashaton ke dayar
Aql ne adami ko bech diya
Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne
Sitvat-e-khusravi ko bech diya
Ishq beharupiya hai ai ‘sagar’
Ap ne sadagi ko bech diyaMonday, 13 February 2012
Sunday, 12 February 2012
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi
Gaey dinon mein boht ba kamal thy hum bhi.
Hamari khoj mein rehti thin titlyan aksar
K apny shehr ka husn o jamal thay hum bhi
Zamin ki gode mein sir rakh k so gaey akhir
Tumhary hijr mein kitny nidhal thay hum bhi,
Zarorton ney hamara zamir chat lia,
Wgerna,
qail-e-rizq-e-halal thay hum bhi.
Hum aks aks bikherty rahy isi dhunn mein,
K zindgi mein kabhi la zawal thay hum bhi.
Saturday, 11 February 2012
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai
Wednesday, 8 February 2012
Urdu Poetry Of Life
Laai Hayaat to aaye qaza le chali chaley
Apni Khushi se na aaye na apni khushi chaley
Kam hongey is bisaat par hum aisey bad qumaar
Jo chaal hum chaley woh nihayat buri chaley
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lagey
Par kya karein jo kaam na be dil-lagi chaley
Duniya ne kis ka raah-e-fanaa mein diya hai saath
tum bhi chaley chalo yunhi jab tak chali chaley
Jaatey Hawaa-e-shauq mein hain is chaman se Zauq
Apni balaa se Baad-e-Saba ab kabhi chaley
Wo Kehti hai Suno Jana
Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko
Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti
Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti
Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata
Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab
Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai
Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye
Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain
wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon
main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi
wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon
main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon
wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai
main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai
wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain
Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya
wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain
main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Monday, 6 February 2012
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar

ata hai yad mujhko guzara hua zamana
ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana
apni khushi se ana apni khushi se jana
lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana
abad jis k dam se tha mera ashiyana
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
suna karte hain apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se
laraz jata hai awaz-e-azan se
Friday, 3 February 2012
ek vaadaa hai kisii kaa jo vafaa hotaa nahii.n
-
ek vaadaa hai kisii kaa jo vafaa hotaa nahii.n marmarii taaro.n bharii raato.n me.n kyaa hotaa nahii.n jii me.n aataa hai ulaT de.n un ke chehare se naqaab hausalaa karate hai.n lekin hausalaa hotaa nahii.n shamaa jis kii aabaruu par jaan de de jhuum kar vo patangaa jal to jaataa hai fanaa hotaa nahii.n
ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa
ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa Khaak-e-gulashan me.n jab aashiyaanaa huaa zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii zindagii kaa chalan mujremaanaa huaa phuul jalate rahe chaa.Nd ha.Nsate rahaa aarazuu kaa muqammal fasaanaa huaa daaG dil ke shaha.nshaah ke sikke bane dil kaa muflis-kadaa jab Khazaanaa huaa rah_bar ne palaT kar na dekhaa kabhii rahr-o-raaste kaa nishaanaa huaa ham jahaa.N bhii gaye zauq-e-sajdaa liye har jagah aap kaa aasataanaa huaa dekh mizaraab se Khuun Tapakane lagaa saaz kaa taar marG-e-taraanaa huaa pahale hotii thii ko_ii vafaa-paravarii ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa huaa
chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n
chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n tumhaarii bazm me.n ham bezabaan baiThe hai.n ye aur baat ki manzil pe ham pahu.Nch na sake magar ye kam hai ki raaho.n ko chhaan baiThe hai.n fuGaa.N hai dard hai soz-o-firaaq-o-daaG-e-alam abhii to ghar me.n bahut meharabaan baiThe hai.n ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii luTaa ke ishq me.n naam-o-nishaan baiThe hai.n vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai jise shariat-e-ehasaas maan baiThe hai.n hai maikado.n kii bahaaro.n se dostii 'Sagar' baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baiThe hai.n
chaa.Ndanii ko rusuul kahataa huu.N
chaa.Ndanii ko rusuul kahataa huu.N baat ko baa_usuul kahataa huu.N jagamagaate hue sitaaro.n ko tere pairo.n kii dhuul kahataa huu.N jo chaman kii hayaat ko Das le us kalii ko babuul kahataa huu.N ittefaaqan tumhaare milane ko zindagii kaa husuul kahataa huu.N aap kii saa.Nvalii sii suurat ko zauq-e-yazdaa.N kii bhuul kahataa huu.N jab mayassar ho saaGar-o-miinaa barq_paaro.n ko phuul kahataa huu.N
bhuulii hu_ii sadaa huu.N mujhe yaad kiijiye
bhuulii hu_ii sadaa huu.N mujhe yaad kiijiye tum se kahii.n milaa huu.N mujhe yaad kiijiye ma.nzil nahii.n huu.N Khizr nahii.n rahazan nahii.n ma.nzil kaa ra.ntaa huu.N mujhe yaad kiijiye merii nigaah-e-shauq se har gul hai devataa mai.n ishq kaa Khudaa huu.N mujhe yaad kiijiye naGmo.n kii ibtidaa thii kabhii mere naam se ashko.n kii i.ntahaa huu.N mujhe yaad kiijiye gum-sum kha.Dii hai.n dono.n jahaan kii haqiiqate.n mai.n un se kah rahaa huu.N mujhe yaad kiijiye "Sagar" kisii ke husn-e-taGaaful shaar kii bahakii hu_ii adaa huu.N mujhe yaad kiijiye
bargashtaa-e-yazdaa.N se kuchh bhuul hu_ii hai
bargashtaa-e-yazdaa.N se kuchh bhuul hu_ii hai bhaTake hue insaan se kuchh bhuul hu_ii hai taa hadd-e-nazar shole hii shole hai.n chaman me.n phuulo.n ke nigeh_baan se kuchh bhuul hu_ii hai jis ahad me.n luT jaaye faqiiro.n kii kamaa_ii us ahad ke sultaan se kuchh bhuul hu_ii hai ha.NSate hai.n merii suurat-e-maftuu.N pe shaguufe mere dil-e-naadaan se kuchh bhuul hu_ii hai huuro.n kii talab aur mai-o-saaGar se hai nafrat zaahid tere irfaan se kuchh bhuul hu_ii hai
baat phuulo.n kii sunaa karate the
baat phuulo.n kii sunaa karate the ham kabhii sher kahaa karate the mashaale.n leke tumhaare Gam kii ham andhero.n me.n chalaa karate the ab kahaa.N aisii tabiyat vaale choT khaa kar jo duaa karate the tark-e-ehasaas-e-muhabbat mushkil haa.N magar ahal-e-vafaa karate the bikharii bikharii zulfo.n vaale qaafile rok liyaa karate the aaj gulshan me.n shaguuf-e-saaGar shikave baad-e-sabaa se karate the
azmat-e-zindagii ko bech diyaa
azmat-e-zindagii ko bech diyaa ham ne apanii Khushii ko bech diyaa chashm-e-saaqii ke ik ishaare pe umr kii tishnagi ko bech diyaa rind jaam-o-subuu pe ha.Nsate hai.n shaiKh ne bandagii ko bech diyaa rah_guzaaro.n pe luT ga_ii raadhaa shaam ne baa.Nsurii ko bech diyaa jagamagaate hai.n vahashato.n ke dayaar aql ne aadamii ko bech diyaa lab-o-ruKhsaar ke ivaz ham ne sitvat-e-Khusravii ko bech diyaa ishq beharuupiyaa hai ai 'Sagar' aap ne saadagii ko bech diyaa
Wednesday, 1 February 2012
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !
Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !
Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !
Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !
Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !
Qateel Shifai

milkar juda huey tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum
aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum
jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum
gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko dooboya karenge hum

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahii.n
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii nahii.n
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii nahii.n
roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahii.n
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahii.n
tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahii.n

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain
Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Nai Tumhain
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain
Bas Gahe Hain meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain
Tum Jo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaye
Tum Jo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaye
Kyun Na Ban Jaye In Aankhon Ke Pujari Aankhain
Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye
Tum Jo Mil Jao Jeene Ka Bahana Mil jaye
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain

kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah
baDaa ke pyaas merii us ne haath chhoD diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah
kise Khabar thii baDegii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii mein chaaNdanii kii tarah
kabhii na sochaa thaa hamane Qateel us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah

garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hai.n
ham charaaGo.n kii tarah shaam se jal jaate hai.n
bach nikalate hai.n agar aatih-e-sayyaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hai.n
Khudanumaa_ii to nahii.n shevaa-e-arabaab-e-vafaa
jin ko jalanaa ho vo aaraaam se jal jaate hai.n
shamaa jis aag me.n jalatii hai numaa_ish ke liye
ham usii aag me.n gumanaam se jal jaate hai.n
jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyuu.N log mere naam se jal jaate hai.n
rabtaa baaham pe hame.n kyaa na nahe.nge dushman
aashanaa jab tere paiGaam se jal jaataa hai

Door tak chhaye thay badal aur kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha
Kia mila aakhir tujhe saayon ke peechhey bhaag ker
Ai dile naadan tujhey kia humney samjhaya na tha
Uff yeh sannata ke ahat tak na ho jis mai mukhil
Zindgi mai is qadar hum ne sukoon paaya na tha
Khoob roye chhip ke ghar ki chaardeewari mai hum
Haale dil kehne ke qabil koi hamsaaya na tha
Ab khula jhonkon ke peeechey chal rahi theen aandhiyan
Ab jo manzar hai wo pehle to nazar aaya na tha
Sirf khushboo ki kami thee ghaur ke qabil Qateel
Warna gulshan mai koi bhi phool murjhaya na tha

dil ko Gam e hayaat gavaaraa hai in dinon
pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dinon
ye dil zaraa saa dil terii yaadon men kho gayaa
zarre ko aandhiyon kaa sahaaraa hai in dinon
har sail e ashk saahil e taskiin hai aaj kal
dariyaa kii mauj mauj kinaaraa hai in dinon
shamon men ab nahiin hai vo pahale sii roshanii
shaayad vo chaand anjuman e aaraa hai in dinon
tum aa sako to shab ko badhaa duun kuchh aur bhii
apane kahe men subah kaa taaraa hai in dinon
qurbaan hon jis ke husn pe sau jannaten Qateel
nazaron ke saamane vo nazaaraa hai in dinon

zindagii me.n to sabhii pyaar kiyaa karate hai.n
mai.n to mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuu.Ngaa
tuu milaa hai to ye ehasaas huaa hai mujhako
ye merii umr mohabbat ke liye tho.Dii hai
ik zaraa saa Gam-e-dauraa.N kaa bhii haq hai jis par
mai.n ne wo saa.Ns bhii tere liye rakh chho.Dii hai
tujh pe ho jaauu.Ngaa qurabaan tujhe chaahuu.ngaa
apane jazbaat me.n naGmaat rachaane ke liye
mai.n ne dha.Dakan kii tarah dil me.n basaayaa hai tujhe
mai.n tasavvur bhii judaaii kaa bhalaa kaise karuu.N
mai.n ne qismat kii lakiiro.n se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigehabaan tujhe chaahuu.ngaa
terii har chaap se jalate hai.n Khayaalo.n me.n chiraaG
jab bhii tuu aaye jagaataa huaa jaaduu aaye
tujhako chhuu luu.N to phir ae jaan-e-tamannaa mujhako
der tak apane badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaro.n kaa hai unawaan tujhe chaahuu.Ngaa

Subscribe to:
Posts (Atom)