Monday, 6 February 2012

ata hai yad mujhko guzara hua zamana

ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana

azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana

lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana

wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana

1 comments:

fariyad said...

aati nai shadayen iski meri kafas me ,
hoti meri rihai aye kash mere bas me,
dill gum ko kha raha hai
gum dill ko kha raha hai,
is kaiyed ka ilahi dukhada kise sunau ,
dar hai yahi kafash me mai gum se mar na jau ,
gana ise samajh ker khush ho na sunane wale ,
dukhkye huye dillon ki faryad ye sada hai ,
(Razia )

Post a Comment