Laai Hayaat to aaye qaza le chali chaley
Apni Khushi se na aaye na apni khushi chaley
Kam hongey is bisaat par hum aisey bad qumaar
Jo chaal hum chaley woh nihayat buri chaley
Behtar to hai yehi ke na duniya se dil lagey
Par kya karein jo kaam na be dil-lagi chaley
Duniya ne kis ka raah-e-fanaa mein diya hai saath
tum bhi chaley chalo yunhi jab tak chali chaley
Jaatey Hawaa-e-shauq mein hain is chaman se Zauq
Apni balaa se Baad-e-Saba ab kabhi chaley
0 comments:
Post a Comment