ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa Khaak-e-gulashan me.n jab aashiyaanaa huaa zulf-e-baraham kii jab se shanaasaa_ii hu_ii zindagii kaa chalan mujremaanaa huaa phuul jalate rahe chaa.Nd ha.Nsate rahaa aarazuu kaa muqammal fasaanaa huaa daaG dil ke shaha.nshaah ke sikke bane dil kaa muflis-kadaa jab Khazaanaa huaa rah_bar ne palaT kar na dekhaa kabhii rahr-o-raaste kaa nishaanaa huaa ham jahaa.N bhii gaye zauq-e-sajdaa liye har jagah aap kaa aasataanaa huaa dekh mizaraab se Khuun Tapakane lagaa saaz kaa taar marG-e-taraanaa huaa pahale hotii thii ko_ii vafaa-paravarii ab to "SaaGar" ye qissaa puraanaa huaa
Friday, 3 February 2012
ek muddat hu_ii ek zamaanaa huaa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment