Sunday, 8 January 2012

Wo subah ka alamnaak savera

Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan
Jis subah ki raat guzri thi
Ashkon ki barsat may
Ashk meray aur teray
uss saahil ki rait pe
Aaj bhi sulagti hai zameen
Aaj bhi be-karaan hokar tarpti hai mouj-e-sagar
Teray hath ka lums aaj bhi zinda hai
Meri be-muraad hatheli pe jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise mai bhool paoon ga jaanan

Bisat-e-waqt pe tehri thi zindagi ki baazi
Na tu shikast ka khuwahan
Na mai mutamani tha ruswai ka
Phr bhi taqdeer banai tu ney hamari
Uljhi hoi muhabbt ki
Phr chahaya andehra meray ujaalon may
Tu koh gaye anjaan be-nishaan veeranon may
Mai aur meri tanhai
Ab yehi pochte hain jaanan
Wo subah ka alamnaak savera
Kaise bhool paon ga jaanan
Kaise bhool paon ga jaanan

0 comments:

Post a Comment