Saturday, 26 May 2012

Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

Thursday, 17 May 2012

jana tera ab thahar gaya hai

rukne k samay guzar gaya hai
jana tera ab thahar gaya hai

rukhsat ki ghari khari hai sar par
dil koi do-nim kar gaya hai

matam ki faza hai shahar-e-dil main
mujh main koi shakhs mar gaya hai

bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khwab-e-saba bikhar gaya hai

bas ik nigah ki thi us ne
sara chehara nikhar gaya hai

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de
mere baazuu merii aaNkheN meraa chehraa laa de

aisaa dariyaa jo kisii aur samandar meN gire
is se behtar hai ke mujhko meraa sehraa laa de

nayaa mausam merii biinaa’ii ko tasliim nahiiN
merii aaNkhoN ko vohii Khvaab puraanaa laa de

kuch nahiiN chaahiye tujhse merii umr-e-ravaaN
meraa bachpan mere jugnuu merii guRiyaa laa de

kashtii-e-jaaN to bhanvar meN hai ka’ii barsoN se
ai Khudaa ab to Dubo de yaa kinaaraa laa de

Main Ab Ronay Say Darti Hun Judaa Honay Say Darti Hun,

Main Ab Ronay Say Darti Hun Judaa Honay Say Darti Hun,
Mere Aankhen Batati Hain Kay Main Sonay Say Darti Hun.

Mera Haath Pakar Lyna Mujhe Tanha Nahi Karna,
Ye Duniya Ek Mela Hai Tumhen Khonay Say Darti Hun.

Jab Hansti Hun To Kyun Palkon Kay Konay Bheeg Jaatay Hain,
Tumhen Maloom Hai Main Is Tarha Ronay Say Darti Hun.

Jab Say Khuwab Dykha Hai Tum Mujhe Chhor Jao Gay..!
Main Ab Khuwabon Say Darti Hun Main Ab Sonay Say Darti Hun...!~

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,
Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.

Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Wednesday, 16 May 2012

Kese Rahain Ge HUM !

Jate Jate Jo Us Ne Ek Baar Kaha
"Phir MiLain Ge HUM"

Najane Mere DiL Ko Aesa Q Lga
"Shayad Phir Rahain Na HUM"

Tab Us Ki Aankhon Mein Nami C Thi

Wafaon Ki Shayad Kami C Thi

... Aawaz Mein Jahan ThrTharahat C Thi

Wahin Honton Pr Us K Muskurahat C Thi

Hathon Mein Us K Kapkapahat C Thi

Pairon Mein Us K Larhkarhahat C Thi

Us Ka Jana Shayad Zaroori Bohat Tha

Is Liye To Keh Diya

Phir MiLain Ge HUM

Ye Bhi Na Socha
Bin Us K

Kese Rahain Ge HUM !

Monday, 14 May 2012

Kabhi Tairi Rafaaqat Sey Nikalna Hi Nahin Mumkin
Kabhi Daaman Chura Laina Bohat Asaan Lagta Hey

Kabhi Tum Rothtey Ho To Ajab Mushkil C Parti Hey,
Kabhi Tujhko Mana Laina Bohat Asaan Lagta Hey
...
Kabhi Samjha Karo Kuch Faisley Halaat Kartey Hain,
Kabhi Waaday Nibha Laina Bohat Asaan Lagta Hey

Kabhi Kuch Din Tumharey Bin Guzertey Hi Nahin Laikin
Kabhi Muddat Bita Daina Bohat Asaan Lagta Hey

Aaj Ki Raat Zra Mujh Ko Mana Kar Sona

Subah Hote Hi Tere Shehr Se Jana Hai Mujh Ko",

"Aaj Ki Raat Zra Mujh Ko Mana Kar Sona",

"Agar Ho Sake To Lota De Mujh Ko Meri Hansi",
...
"Ya Saari Raat Mujh Ko Rula Kar Sona",

"Dia Yaad Ka Koi Bujh Na Jaye Kahiin",

"Koi Shama Piyar Ki Jala Kar Sona",

"Me Nahi Kehti Tu Reh Umar Bhar sath Mere",

"Bas Aaj Ki Raat Apna Bana Kar Sona",

"Umar Bhar Rahon Gi Tere Qadmon Me"

"Bas Aaj Ki Raat Tum Seene Se Laga Kar Sona"......

آنکھوں سے اک خواب گزرنے والا ہے


آنکھوں سے اک خواب گزرنے والا ہے

کھڑکی سے مہتاب گزرنے والا ہے

صدیوں کے ان خواب گزیدہ شہروں سے
مہرِ عالم تاب گزرنے والا ہے

جادو گر کی قید میں تھے جب شہزادے
قصے کا وہ باب گزرنے والا ہے

ق

سناٹے کی دہشت بڑھتی جاتی ہے
بستی سے سیلاب گزرنے والا ہے

دریاؤں میں ریت اُڑے گی صحرا کی
صحرا سے گرداب گزرنے والا ہے

مولا جانے کب دیکھیں گے آنکھوں سے
جو موسم شاداب گزرنے والا ہے

ہستی امجد دیوانے کا خواب سہی
اب تو یہ بھی خواب گزرنے والا ہے

tujhay naz hai tu haseen hai

tujhay naz hai tu haseen hai
tairay gulistan ko zawal kaya;

mjhay fakhar hai , main ishq hoon

jo jala na doon toh kamal kaya,

mjhay zindagi ki dua na day

mjhay zindagi ki talab ni

maire moat ko jo taal day

ic zindagi ki majal kaya

hamain manziloon ki khabar ni

humain rehguzar ki tallaash hai..

ic rehguzar pay nikal paray

toh arooj kaya aur zawal kaya

tairay piyar main shikway gilay

taire in aadayoon pay mr chalay

jo hayaat thi tujhay war di

ab sawal kaya or jawab kaya

Saturday, 12 May 2012

Bichhar Kay Tujh Say Yahi Khud Ko Sazaa Di Main Nay,

Bichhar Kay Tujh Say Yahi Khud Ko Sazaa Di Main Nay,
Tere Talaash Main Ek Umar Lagaa Di Main Nay.

Tujhe Jo DiL Say Nikaala To Yun Laga Jaise,
Apnay Andar Koi Deewar Giraa Di Main Nay.

Goongay-Behron Main Raha Jaise Koi Naabeena,
Zindagi Tera Binaa Aisay Bitaa Di Main Nay.

Dard-0-Ghum, Ranj-0-Musibat Ki Qabayen 0rhen,
Ghar Ki Diwaaron Ko Jaalon Ki Ridaa Di Main Nay.

Jis Ka Har Laafz Adhoora Raha Sanam Tum-Bin,
Zindagi Aesi Aik Kitaab Banaa Di Main Nay.

Apnay Andar Say Sunaa Yahan Hun Main Yahan,
Tu Kahan Hai Ki Jab Bhi Sadaa Di Main Nay.

Us-Ko Achaanak Say Jo Khoya To Yun Laga..!
Zindagi Aik Hi Lamhay Main Ganwaa Di Main Nay...!~

Wednesday, 9 May 2012

Kisi Ki Zindgi Tum Ho.

URDU poetry
Bohat Masroof Lamhon Mein
Khbhi Ek Pal Ko Socho To
KOi Kitna Akaila hay
Kisi ki Zindgi Tum Ho
KIsi Ki Bandgi Tum Ho
Kisi Ko Teri Khawahish Hay
KIsi KI Chahtein Tum Ho
hbi Ek Pal Ko Socho To
Tumhari Bewafai Nay
Tumhari La,perwahi Nay
Tumhari Beniazi Nay
Kisi Ko Mar Dala Hay
Koi Zinda To Hay Lakin
Faqat wo Sans Laita Hay

Zara Ek Pal Ko Socho To
Koi Kitna Akaila Hay
Kisi Ki Zindgi Tum Ho.

raat baaqi thi jab wo bhichra tha

urdu poetry

Tuesday, 8 May 2012

Best of Parveen shakir

Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi


... mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya


kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha


magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki ....

Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humen,

Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humen,
Par Ghum Roz-Roz Sehnay Ki Aadat Nahi Humen.

Har Baar Teray Samnay Sar Ko Jhuka Liya,
0r Phir Bhi Dykh Tujh Say Shikayat Nahi Humen.

Hum Jantay Hain Tu Bhi Hai Tanha Humaray Bin,
Auron Say Poochnay Ki Zaroorat Nahi Humen.

Tu Aitbaar Kar Lay Tujhe Chahtay Hain Hum,
Teray Siwaa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humen.

Kaisay Rahen-Gay Bin Teray Ab Baat Maan Lay..!
Teray Baghair Rehnay Ki Aadat Nahi Humen…!~

Sunday, 6 May 2012

Mujh Se Giley Hain Mujh Pe Bharossa Nahi Ussy

Mujh Se Giley Hain Mujh Pe Bharossa Nahi Ussy,,,
Yeh Soch Kar Hum Ne Bhi Tou Roka Nahi Ussy...


Wo Shaks Kbhi Chand Sitaron Se Yeh Pochey,,,
Hai Kon Si Wo Raat Jab Socha Nahi Ussy...


Alfaaz Teer Ban kay Utartay R,hey Dil Mein,,,
Sunty Rahe Chup Chaap Hi Tokka Nahi Ussy...


"WASI" Ye Muhabbat Nahi Asool-e-Wafa Hai,,,

Hum Jaan To Dain Gay Magar Dhoka Nahi Ussey

Saturday, 5 May 2012

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha

Udaasiyun ka ye mosam Badal bhi skta tha ,
Wo chahta to mayra Sath Chal bhi skta tha
Wo Shakhs tuney jisay Chornye ki jaldi ki
Taray Mizaj k sanchy main dhal bhi skta tha
Wo jaldbaaz khafa ho k chaldia warna
Tnaazaat ka koi hal nikal b skta tha
ANNA ne hath uthnay nahi diye warna
Meri dua say wo pather pigal bhi skta tha
Tamam UMAR tera muntazir raha Mohsin.
yeh aor baat k wo rassta badal bhi skta tha

Woh Ziddi Tha Bohat Magar!

Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!

Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!

Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!

Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!

Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha.

Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha....

Jo aashna say log thay

Wo manzilain bhi kho gain

Wo rastay bhi kho gai

Jo aashna say log thay

Wo ajnabi say ho gai

Na chand than na chandni

Ajeeb thi who zindagi

Chiragh thay kay bujh gai

Naseeb thay kay so gai

Yen poochtay hain rastay

Rukay ho kis kay wastay

Chalo tum bhi ab chalo

Wo mehrban bhi kho gai.

Tumhein jo be-sabab mujh se khafa honey ki aadat hai....

Tumhein jo be-sabab mujh se khafa honey ki aadat hai....

Ye aagaz-e-judaai hai ke andaz-e-mohabbat hai......

Wafa ke rung me dekho jafa achhi nahi hoti.......

Kisi se pyar me itni "ana" achhi nahi hoti.......

Faqat kehney ki batein hain........

nibhata kon hai kis ko........

Chalo ab daikh letey hain.........

Manata kon hai kis ko.....?????

Friday, 4 May 2012

Gehri Gehri Aankhon Wali

Gehri Gehri Aankhon Wali
Uljhi Uljhi Pagal Larki
Tu Yeh Kis Ki Dhun Mein Aakhir
Lambi Lambi Palkon Ooper
Motay Motay Aansoo Le Kar
Sundar Komal Pairoon Neechay,Jalti Balti Dharti De Kar
Kariya Kariya Bhag Rahi Hay,Kis Ki Khatir Jaag Rahi Hay

Tujh Ko Yeh Maloom Nahi Kya
Tujh Jaisi Na Janay Kitni Gehri Gehri Aankhon Wali
Kaisi Kaisi Sundarta k Dhair Khazanay Le Kar Nikleen
Lekin Phir b Iss Rastay Se
Manzil Tak Pahunchanay Wala
Har Ik Saathi Jhoota Nikla
Ek Ek Aasha Dushman Nikli,Ek Ek Sapna Dhoka Nikla
Sacha Har Ik Khadsha Nikla

Dekho...Tum b Janay Do Ab
Nadani Ka Jitna Rasta Tum Ne Ab Tak Tay Kar Dala
Uss Rastay Se Ghar Ki Manzil
Ab b Itni Door Nahi Hay
Ab b Wapis Ja Sakti Ho,Sab Kuch Wapis Pa Sakti Ho
Ab b Gar Tum Nadani k Iss Rastay Se Ghar Na Palteen
To Phir Ek Din Aisa Hoga
Sundar Aankhein Mar Jayein Gi
Palkein Khoon Se Bhar Jayein Gi
Jaan Laboon Par Aa Jaye Gi
Tan k Saray Ujlay Pan Ko Ghor Musafat Kha Jaye Gi

Uss Din Phir Tum Chillao Gi,Lekin Kuch Na Hasil Ho Ga
Saray Lams k Bhookay Saathi,Punkh Laga Kar Urr Jayein Ge
Tum Rastay Mein Reh Jao Gi
Rasta b Vo Jis k Peechay
Dar Ki Gehri DalDal Hogi.Aagay Gham Ka Jungle Hoga
Sir Par Gehra Badal Hoga

Uss Din k Aanay Se Pehlay,Uss Din Tak Janay Se Pehlay
Waqt Milay To Dhalnay Walay
Har Lamhay Ki Zaat Pe Socho
Duniya Ki Bareek Nazar Se,Duniya Ki Har Baat Pe Socho
Jazboon Ki Aukaat Hi Kya Hay
Jazboon Ki Aukaat pe Socho
Vo Dekho...Ek Saaye Par Phir Veeranay Mein Bijli Karki..
Gehri Gehri Aankhon Wali Uljhi Uljhi Pagal Larki...!!!


Wednesday, 2 May 2012

btao kaisa lagta hai

Batao kaisa lagta hai????
Kisi ko paa k kho dena
Kisi k sath sath chalna
Magar uska na ho pana
Khud hi ko kosty rehna
Magar usko na kuch kehna
Khud girna sambhalna
Hansna or ro dena
Batao kaisa lagta hai???
Khizan ki sakht sardi me
Hijr ki lambi raaton me
Kisi ki yaad me udaas hona
Kisi ko sochty sochty
Apni ankhen band karna
Or....

Andheron me chaly jana
Batao kaisa lagta hai???
Naye rishton me rang jana

Magar kisi ko bhol na pana
Batao kaisa lagta hai???
Batao kaisa lagta hai............???

Ek Gulab Tha

Ek Gulab Tha
Bara He Udaas Tha
Rang Bhi Uska Tha Ura Ura Saa !

Shabnam Ke Aansoo Rawan The Uske
Dil Tha Uska Kuch Bujha Bujha Sa
Bahar Ka Tha Mausam Phir Bhi Na Khila Tha
Daali Se Tha Woh Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa

Maine Jo Dekha Usse,
Paas Jake Pucha Usse,
Kyun Hai Udaas Tu ?
Kyun Karta Hai Dil Barbad Tu ?
Yeh Sun kar Woh Rone Laga
Shabnam Ke Aansuon Se Muh Dhone Laga
Aur Rote Rote Bas Yeh Kehne Laga
Mera Yaar Mujhko Chor Gaya Hai
Mera Pyar Mujhse Muh Mor Gaya Hai
Ab Mai Kiske Liye Khil Jaun ?
Ab Mai Kiske Liye Khushboo Mehkaaun ?
Mujhe Kaun Apne Dil Se Lagaye Ga ?
Mujhko Kaun Apni Saanson Mein Basaye Ga ?


Mera Chaman Ujar Gaya Hai
Mera Yaar Mujhse Bichar Gaya Hai
Bas Ab To Har Lamha Ussi Ki Yaad Hai
Bas Beqarari Hai Tadap Hai Fariyad Hai
Mujhko Mere Yaar Se Mila De
Mujhko Koi Mera Pyar Lauta De
Woh Aayega To Khil Jaunga Mai
Apni Zindagi Se Mil Jaunga Mai .

JAB HUM NA HON GAY

urdu poetry

Tuesday, 1 May 2012

تتلیوں کی خواہش تو


تتلیوں کی خواہش تو

تتلیوں سے نازک ہے

اس طرح کی خواہش کا

رنگ روپ ڈھلنے میں

دیر اتنی لگتی ہے ۔۔۔۔

تتلیوں کے دل آویز

نرم نرم پنکھوں سے

دلکشی اترنے میں

دیرِجتنی لگتی ہے

اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو

اجاڑ لمحوں کی داستانیں جو تم کہو تو سنائیں تم کو
بہت سا ھم جاگتے رھے ھیں چلو ذرا سا جگائیں تم کو

تم ھی ھو جو روشنی سی بن کر ھماری آنکھوں میں آبسے ھو
جب اپنی آنکھیں ھی کہ دیا ھے تو پھربھلا کیوں رلائیں تم کو

غبار آلود راستوں میں تلاش کرکر کے تھک گئے ھیں
کہاں پہ جا کے بسے ھوئے ھو، کہاں سے ھم ڈھونڈھ لائیں تم کو

تمہیں تو سکھ آ گئے میسر، تمھیں تو ھم یاد ھی نہیں ھیں
مگر یہ بتاؤ کہ ھم جو چاھیں تو کس ترھ بھلائیں تم کو

کہو کہ جاذب یہ جھوٹ ھے نا کہ تم نے اس کو بھلا دیا ھے
انھی تلک جس کی شوخ یادیں ھر ایک لمحے ستائیں تم کو

sadersader

sad urdu poetry

Ajeeb Dhang Hain Abke Bahaar Aane Ke

Ajeeb Dhang Hain Abke Bahaar Aane Ke
Chaman Mein Chaar Soo Charche Hain Ghar Jalaane Ke

Wo Tez Aandhi Gulistaan Mein Abki Baar Chali

Ke Tinke Bhi Naa Rahe Mere Aashiyaane Ke

Tu Bawafa Bhi Raha Aur Kabhi Wafa Bhi Na Ki

Main Sadqe Jaaun Tire Is Hasin Bahaane Ke


Ilahi Khair Ke Hota Hai Husn Bhi Ruswa

Zamaane Bhar Mein Hain Charche Mire Fasaane Ke


Ye Inqilaab Ki Aahat Hai Rekhta Sahib

Waraq Palatne Hi Waale Hain Ab Fasaane Ke

Sad Ghazal Ever

hum se bichar k kaha jao gay kia karo gay
is bazm main koi apna na bana tu kia karo gay

is bhary duniya mein bhi tum ko
wafa na mili tu kia karo gay

teri khuwahshaat kay ju mahal hain abhi
kabhi khandar ju huey tu kia karo gay

ju sitam dhaye hain barha hum par tum nay
tum par wo zmany nay ju dhayeh tu kia kro gay

tum ju kahty hu tu chlo chord he daty hain tumehn
jab kahin tanhayi main dar jao gay tu kia karo gay