Friday, 30 March 2012

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Jo tera lams mile to khule yeh baab E wajood
Aur is mein ho tu kabhi mayhmaaN hamare liye

Hum us pe khaab ki soorat utarne waale hain
Sajaye aaNkh mein wo kahkashaaN hamare liye

Udaas hochuke lamhoN mein rang bharti hui
Hawaaye shaam hai na-mehrbaaN hamare liye

Nateejatan hamaiN mahroom e khaab hona paRa
HaqeeqatoN ne kaRe imtehaaN hamare liye

Kaleja Thaam Lo Roodad E Gham Ham Ko Sunane Do …

Kaleja thaam lo roodad E gham ham ko sunaane do
Tumhein duk_kha hua dil ham dikhate hain dikhane do

Usi ke dam se thoRi raushni hai khaana E dil meiN
Bujhaate kyuN ho sham- E aarzoo ko jhilmilane do

Usi se tum kisii kii zulf ki roodaad sun lena
Udhar dekho wo deewaana chala aata hai aane do

Suna hai ishq ka me’raaj pinhaN hai shahadat me
Chhuri laao mujhe bhi apni qismat aazmaane do

Na dagh aayega apne daman E husn E tabiy’at per
Wafaa per mere jo tohmat lagate hain lagane do

Zamana sabr kar leta hai ‘Ajiz’ ham bhi kar leNge
Khalish dil ki miTa lene ke do aaNsoo bahane do

Sab Qareene Usi Dildaar Ke Rakh Dete Hain

Sab qareenay, usi dildaar ke, rakh dete haiN

Hum ghazal men bhi hunar yaar ke rakh dete haiN

Shayad ajayeN kabhi chachm e khariidar men hum

Jan O dil biich mein bazaar ke rakh dete haiN

Zikr e janaN mein yeh duniya ko kahaN le aaye

Log kyuN mas’alay bekaar ke rakh dete haiN

Zindagii teri amaanat hai magar kya kijiye

Log yeh bojh bhi thak haar ke rakh dete haiN

Hum to chahat men bhi ghalib ke muqallid hain ‘Faraz’
Jis pe marte haiN use maar ke rakh dete haiN

Gham Ka Vo Zor Ab Mere Andar Nahi Raha

Gham kaa vo zor ab mere andar nahi rahaa
Is umr meiN, maiN itana samar_var nahi rahaa

Is ghar meiN jo kashish thi gayi un dinoN ke sath
Is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahi rahaa

Vo husn-E-naubahaar, abad shauq jism sun
Rahna tha us ko saath mere, par nahi rahaa

Mujh meiN hi kuchh kami thi K behtar maiN un se tha
MaiN shahar meiN kisii ke baraabar nahi rahaa

Rahbar ko un ke haal ki ho kis tarah Khabar
LogoN ke daramiyaan vo aakar nahi rahaa

Waapas na jaa vahaaN K tere shahar meiN ‘Munir’
jo jis jagah pe tha vo vahaaN par nahi rahaa

Monday, 26 March 2012

Tera Nam Lon Ziban Se, Tere Aage Sar Jhuka Don.

Tera Nam Lon Ziban Se, Tere Aage Sar Jhuka Don.

Mera Ishq Keh Raha He Min Tujhe Khuda Bana Don.

Wednesday, 7 March 2012

Tumare Naam Hain Meri Her gahri Meri Saans

Ager Wo Jaan Jata Meri Chahat Ki Tapesh Ko

Tumare Naam Hain Meri Her gahri Meri Saans 
Main Tum Ho Meri Her Dharkan Main Ho Meri Her

Lafzo Main Tum Ho Mere Khailo Main Tum Ho Mere

Khawbo Main Tum Ho Meri Her Rango Main Tum Ho

Usay Dekha Too Khaiyal Aya

Usay Dekha Too Khaiyal Aya 

Wo Bara Meharban Hain

Muje Hazaaron Gham Dy Ga

Hum Too Khud Garz Nikaly

Kuch Na Dy Skay Chahat K Siwa

Hum Mizaaj Uska Bare Gauhar Se Dekhte Hain

Hum Mizaaj Uska Bare Gauhar Se Dekhte Hain

Suna Hain Aaj Kal Har Log Usay Dehkte Hain

Uskay Shahr Main Kuch Din Thahar Ge Hum 

Hum Kabi Dar--O--Diwar Ghar K Dekhte Hain

Kahaani Hi Sahi Dastan-E-Mohabbat Dekhte Hain

Saturday, 3 March 2012

MUJHE IS QADAR CHAHTA HE

ik din shararatan us k kamre mn ja kr,

deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,

ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,

kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,

kahin takiya aansoun se num tha,

phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,

jis k safha-e-awal pe mera naam tha,

kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,

chehra paseene se tar tha,

meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

"MUJHE KHABAR BHI NAHI

K WOH KHAMOSH SA SHAKSH,

MUJHE IS QADAR CHAHTA HE"

Thursday, 1 March 2012

Bohat si besabab baatein

Bohat si besabab baatein

Faqt Tamheed hoti hain


Jo Aksar Tum say Kehta hon


"Sunao Aur Kaisi ho?"


"Suni Sardi bohat hai na"


"Nahi Mosam to acha hai"


"Chalo Acha Mein Chalta hon"


"Dobara Fone ker Lon Ga"


Ye Sari besabab Baatin


Faqat Tamheed hoti Hain


Aur Is Tamheed Main Jana


Guzr Jaate Hain Sab Lamhe


Guzar Jaate Hain jab Lamhe


To Phir Me Sochta Hun K


Zara si Baat Hi To hy


Tumhe Jaldi Say Keh Doon Ga


Mujhey Tumse Muhabbat Hai

Bohat Zyada Muhabbat Hai