Wednesday 11 January 2012

Poetry Of True Love

wo kehti hai suno jana muhabat moom ka ghar hai
tapashi bad gumani ki kahin pighla na dy isko
main kehta ho k jis dil main zara b bad gumani ho
waha kuch or ho tu ho muhabat ho nahi sakti
wo kehti hai sada esy hi kia tm muj ko chaho gy
k mein is main kami bilkul gwara kr nai sktyi
main kehta hon muhabat kia hai yeh tum ny sikhaya hai
mujhe tum sy muhabat k siwa kuch b nahi aata
wo kehti hai judai sy buht drta hai mera dil
k khud tm sy hat kr dekhna mumkin nahi hai ab
main kehta hon yahi khadshy bht mujh ko staty hain
magr sach hai mhbt main sath chlti hai
wo kethi hai btao kia mery bin g sko gy tm
meri batain meri yadein mari ankhein bhual do gy
main kehta hon kabi is bat pr socha nahi main ny
agr ik pal ko b soochon tu saansain rukny lgti hain
wo kahti hai tumeh mujhh sy muhabt is qadar kyo hai
k main ik aam se larki tmeh kyo khas lgti hon
main kehta hon kabi khud ko meri ankho sy tm dekho
meri deewngi kyo hai ya kud hi jan jao gi
wo kehti hai mujy waraftagi sy dekhty kyo ho
k main khud ko buhat he qeemti mehsoos karti hon
mai kehta hon matayey jan buhat anmol hoti hai
tumeh jab dekhta hon zindagi mehsoos karta hon
wo kehti hai mujhe alfaz k jugno nahi milty
tumeh batla sakon dil mein mery kitni muhabat hai
main kehta hon muhabat tu nigahon sy jhalakti hai
tumhari khamoshi mujh sy tmhari bat krti hai
wo kehti hai btao na kisy khony sy drty ho
btao kon hai wo jis ko yeh moosam bulaty hain
main kehta hon yeh meri shayeri hai ayina dil ka
zara dekho btao kia tumeh is main nazar aya
wo kehti hai k atif je buhat batain bnaty ho
magr sach hai k yeh batain buhat he shaad rkhti hain
main kehta hon yeh sb batain fasany ik bahana hai
k pal kuch zindgani k tumhary sath kat jayein
phir us k bad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
nigahain bolti hain or lab khamosh rehty hain

The END................

0 comments:

Post a Comment